raushni rahti thi dil mein zakham jab tak taaza tha
ab jahaan deewaar hai pehle wahan darwaaza tha
dard ki ik mauj har khwaahish baha kar le gai
kya thehartiin bastiyaan paani hi be-andaaza tha
raat saari khwaab ki galiyon mein ham chalte rahe
khidkiyaan raushan theen lekin band har darwaaza tha
रौशनी रहती थी दिल में ज़ख़्म जब तक ताज़ा था
अब जहाँ दीवार है पहले वहाँ दरवाज़ा था
दर्द की इक मौज हर ख़्वाहिश बहा कर ले गई
क्या ठहरतीं बस्तियाँ पानी ही बे-अंदाज़ा था
रात सारी ख़्वाब की गलियों में हम चलते रहे
खिड़कियाँ रौशन थीं लेकिन बंद हर दरवाज़ा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Good night Shayari Shayari