ashk daaman mein bhare khwaab kamar par rakha | अश्क दामन में भरे ख़्वाब कमर पर रक्खा - Ahmad Mushtaq

ashk daaman mein bhare khwaab kamar par rakha
phir qadam hum ne tiri raahguzar par rakha

hum ne ik haath se thaama shab-e-gham ka aanchal
aur ik haath ko daaman-e-sehr par rakha

chalte chalte jo thake paanv to hum baith gaye
neend gathri pe dhari khwaab shajar par rakha

jaane kis dam nikal aaye tire rukhsaar ki dhoop
muddaton dhyaan tire saaya-e-dar par rakha

jaate mausam ne palat kar bhi na dekha mushtaaq
rah gaya saaghar-e-gul sabza-e-tar par rakha

अश्क दामन में भरे ख़्वाब कमर पर रक्खा
फिर क़दम हम ने तिरी राहगुज़र पर रक्खा

हम ने इक हाथ से थामा शब-ए-ग़म का आँचल
और इक हाथ को दामान-ए-सहर पर रक्खा

चलते चलते जो थके पाँव तो हम बैठ गए
नींद गठरी पे धरी ख़्वाब शजर पर रक्खा

जाने किस दम निकल आए तिरे रुख़्सार की धूप
मुद्दतों ध्यान तिरे साया-ए-दर पर रक्खा

जाते मौसम ने पलट कर भी न देखा 'मुश्ताक़'
रह गया साग़र-ए-गुल सब्ज़ा-ए-तर पर रक्खा

- Ahmad Mushtaq
0 Likes

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari