paani mein aks aur kisi aasmaan ka hai | पानी में अक्स और किसी आसमाँ का है - Ahmad Mushtaq

paani mein aks aur kisi aasmaan ka hai
ye naav kaun si hai ye dariya kahaan ka hai

deewaar par khile hain naye mausamon ke phool
saaya zameen par kisi pichhle makaan ka hai

chaaron taraf hain sabz salaakhein bahaar ki
jin mein ghira hua koi mausam khizaan ka hai

sab kuchh badal gaya hai tah-e-aasman magar
baadal wahi hain rang wahi aasmaan ka hai

dil mein khyaal-e-shehr-e-tamanna tha jis jagah
waan ab malaal ik safar-e-raayegaan ka hai

पानी में अक्स और किसी आसमाँ का है
ये नाव कौन सी है ये दरिया कहाँ का है

दीवार पर खिले हैं नए मौसमों के फूल
साया ज़मीन पर किसी पिछले मकाँ का है

चारों तरफ़ हैं सब्ज़ सलाख़ें बहार की
जिन में घिरा हुआ कोई मौसम ख़िज़ाँ का है

सब कुछ बदल गया है तह-ए-आसमाँ मगर
बादल वही हैं रंग वही आसमाँ का है

दिल में ख़्याल-ए-शहर-ए-तमन्ना था जिस जगह
वाँ अब मलाल इक सफ़र-ए-राएगाँ का है

- Ahmad Mushtaq
1 Like

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari