bahut ruk ruk ke chalti hai hawa khaali makaanon mein
bujhe tukde pade hain cigaretteon ke raakh-daanoon mein
dhuen se aasmaan ka rang maila hota jaata hai
hare jungle badalte ja rahe hain kaar-khaano mein
bhali lagti hai aankhon ko naye phoolon ki rangat bhi
purane zamzame bhi goonjte rahte hain kaanon mein
wahi gulshan hai lekin waqt ki parwaaz to dekho
koi taair nahin pichhle baras ke aashiyanoon mein
zabaanon par uljhte doston ko kaun samjhaaye
mohabbat ki zabaan mumtaaz hai saari zabaanon mein
बहुत रुक रुक के चलती है हवा ख़ाली मकानों में
बुझे टुकड़े पड़े हैं सिगरेटों के राख-दानों में
धुएँ से आसमाँ का रंग मैला होता जाता है
हरे जंगल बदलते जा रहे हैं कार-ख़ानों में
भली लगती है आँखों को नए फूलों की रंगत भी
पुराने ज़मज़मे भी गूँजते रहते हैं कानों में
वही गुलशन है लेकिन वक़्त की पर्वाज़ तो देखो
कोई ताइर नहीं पिछले बरस के आशियानों में
ज़बानों पर उलझते दोस्तों को कौन समझाए
मोहब्बत की ज़बाँ मुम्ताज़ है सारी ज़बानों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Gulshan Shayari Shayari