mil hi jaayega kabhi dil ko yaqeen rehta hai | मिल ही जाएगा कभी दिल को यक़ीं रहता है

  - Ahmad Mushtaq

mil hi jaayega kabhi dil ko yaqeen rehta hai
vo isee shehar ki galiyon mein kahi rehta hai

jis ki saanson se mehakte the dar-o-baam tire
ai makaan bol kahaan ab vo makeen rehta hai

ik zamaana tha ki sab ek jagah rahte the
aur ab koi kahi koi kahi rehta hai

roz milne pe bhi lagta tha ki jug beet gaye
ishq mein waqt ka ehsaas nahin rehta hai

dil fasurda to hua dekh ke us ko lekin
umr bhar kaun jawaan kaun haseen rehta hai

मिल ही जाएगा कभी दिल को यक़ीं रहता है
वो इसी शहर की गलियों में कहीं रहता है

जिस की साँसों से महकते थे दर-ओ-बाम तिरे
ऐ मकाँ बोल कहाँ अब वो मकीं रहता है

इक ज़माना था कि सब एक जगह रहते थे
और अब कोई कहीं कोई कहीं रहता है

रोज़ मिलने पे भी लगता था कि जुग बीत गए
इश्क़ में वक़्त का एहसास नहीं रहता है

दिल फ़सुर्दा तो हुआ देख के उस को लेकिन
उम्र भर कौन जवाँ कौन हसीं रहता है

  - Ahmad Mushtaq

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari