zindagi se ek din mausam khafa ho jaayenge | ज़िंदगी से एक दिन मौसम ख़फ़ा हो जाएँगे

  - Ahmad Mushtaq

zindagi se ek din mausam khafa ho jaayenge
rang-e-gul aur boo-e-gul dono hawa ho jaayenge

aankh se aansu nikal jaayenge aur tahni se phool
waqt badlega to sab qaaidi rihaa ho jaayenge

phool se khushboo bichhad jaayegi suraj se kiran
saal se din waqt se lamhe juda ho jaayenge

kitne pur-ummeed kitne khoobsurat hain ye log
kya ye sab baazu ye sab chehre fana ho jaayenge

ज़िंदगी से एक दिन मौसम ख़फ़ा हो जाएँगे
रंग-ए-गुल और बू-ए-गुल दोनों हवा हो जाएँगे

आँख से आँसू निकल जाएँगे और टहनी से फूल
वक़्त बदलेगा तो सब क़ैदी रिहा हो जाएँगे

फूल से ख़ुश्बू बिछड़ जाएगी सूरज से किरन
साल से दिन वक़्त से लम्हे जुदा हो जाएँगे

कितने पुर-उम्मीद कितने ख़ूबसूरत हैं ये लोग
क्या ये सब बाज़ू ये सब चेहरे फ़ना हो जाएँगे

  - Ahmad Mushtaq

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari