tham gaya dard ujaala hua tanhaai mein
barq chamki hai kahi raat ki gehraai mein
baagh ka baagh lahu rang hua jaata hai
waqt masroof hai kaisi chaman-aaraai mein
shehar veeraan hue bahar bayaabaan hue
khaak udti hai dar o dasht ki pahnaai mein
ek lamhe mein bikhar jaata hai taana-baana
aur phir umr guzar jaati hai yakjaai mein
us tamaashe mein nahin dekhne waala koi
is tamaashe ko jo barpa hai tamaashaai mein
थम गया दर्द उजाला हुआ तन्हाई में
बर्क़ चमकी है कहीं रात की गहराई में
बाग़ का बाग़ लहू रंग हुआ जाता है
वक़्त मसरूफ़ है कैसी चमन-आराई में
शहर वीरान हुए बहर बयाबान हुए
ख़ाक उड़ती है दर ओ दश्त की पहनाई में
एक लम्हे में बिखर जाता है ताना-बाना
और फिर उम्र गुज़र जाती है यकजाई में
उस तमाशे में नहीं देखने वाला कोई
इस तमाशे को जो बरपा है तमाशाई में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Dard Shayari Shayari