manzar-e-subah dikhaane use laaya na gaya | मंज़र-ए-सुबह दिखाने उसे लाया न गया

  - Ahmad Mushtaq

manzar-e-subah dikhaane use laaya na gaya
aati jaati raheen shaamen koi aaya na gaya

raat bistar pe khule chaand mein sota tha koi
main ne chaaha ki jagaaoon to jagaaya na gaya

ek muddat use dekha use chaaha lekin
vo kabhi paas se guzra to bulaaya na gaya

ghere rahti thi use ek jahaan ki nazrein
phir jo dekha to vo us aan mein paaya na gaya

sar uthaate hi kaddi dhoop ki yalghaar hui
do qadam bhi kisi deewaar ka saaya na gaya

tha mukarrar ki mulaqaat rahegi us se
vo to pahuncha tha magar mujh se hi aaya na gaya

मंज़र-ए-सुबह दिखाने उसे लाया न गया
आती जाती रहीं शामें कोई आया न गया

रात बिस्तर पे खुले चाँद में सोता था कोई
मैं ने चाहा कि जगाऊँ तो जगाया न गया

एक मुद्दत उसे देखा उसे चाहा लेकिन
वो कभी पास से गुज़रा तो बुलाया न गया

घेरे रहती थी उसे एक जहाँ की नज़रें
फिर जो देखा तो वो उस आन में पाया न गया

सर उठाते ही कड़ी धूप की यलग़ार हुई
दो क़दम भी किसी दीवार का साया न गया

था मुक़र्रर कि मुलाक़ात रहेगी उस से
वो तो पहुँचा था मगर मुझ से ही आया न गया

  - Ahmad Mushtaq

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari