kahaan ki goonj dil-e-na-tawan mein rahti hai
ki tharthari si ajab jism-o-jaan mein rahti hai
qadam qadam pe wahi chashm o lab wahi gesu
tamaam umr nazar imtihaan mein rahti hai
maza to ye hai ki vo khud to hai naye ghar mein
aur us ki yaad purane makaan mein rahti hai
pata to fasl-e-gul-o-laala ka nahin maaloom
suna hai qurb-o-jawar-e-khizaan mein rahti hai
main kitna vaham karoon lekin ik shua-e-yaqeen
kahi nawaah-e-dil-e-bad-gumaan mein rahti hai
hazaar jaan khapata rahoon magar phir bhi
kami si kuchh mere tarz-e-bayaan mein rahti hai
कहाँ की गूँज दिल-ए-ना-तवाँ में रहती है
कि थरथरी सी अजब जिस्म-ओ-जाँ में रहती है
क़दम क़दम पे वही चश्म ओ लब वही गेसू
तमाम उम्र नज़र इम्तिहाँ में रहती है
मज़ा तो ये है कि वो ख़ुद तो है नए घर में
और उस की याद पुराने मकाँ में रहती है
पता तो फ़स्ल-ए-गुल-ओ-लाला का नहीं मालूम
सुना है क़ुर्ब-ओ-जवार-ए-ख़िज़ाँ में रहती है
मैं कितना वहम करूँ लेकिन इक शुआ-ए-यक़ीं
कहीं नवाह-ए-दिल-ए-बद-गुमाँ में रहती है
हज़ार जान खपाता रहूँ मगर फिर भी
कमी सी कुछ मिरे तर्ज़-ए-बयाँ में रहती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Aankhein Shayari Shayari