pata ab tak nahin badla hamaara
wahi ghar hai wahi qissa hamaara
wahi tooti hui kashti hai apni
wahi thehra hua dariya hamaara
ye maqtal bhi hai aur kunj-e-amaan bhi
ye dil ye be-nishaan kamra hamaara
kisi jaanib nahin khulte dariche
kahi jaata nahin rasta hamaara
ham apni dhoop mein baithe hain mushtaaq
hamaare saath hai saaya hamaara
पता अब तक नहीं बदला हमारा
वही घर है वही क़िस्सा हमारा
वही टूटी हुई कश्ती है अपनी
वही ठहरा हुआ दरिया हमारा
ये मक़्तल भी है और कुंज-ए-अमाँ भी
ये दिल ये बे-निशाँ कमरा हमारा
किसी जानिब नहीं खुलते दरीचे
कहीं जाता नहीं रस्ता हमारा
हम अपनी धूप में बैठे हैं 'मुश्ताक़'
हमारे साथ है साया हमारा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Samundar Shayari Shayari