kis shay pe yahan waqt ka saaya nahin hota | किस शय पे यहाँ वक़्त का साया नहीं होता - Ahmad Mushtaq

kis shay pe yahan waqt ka saaya nahin hota
ik khwaab-e-mohabbat hai ki boodha nahin hota

vo waqt bhi aata hai jab aankhon mein hamaari
phirti hain vo shaklein jinhen dekha nahin hota

baarish vo barasti hai ki bhar jaate hain jal-thal
dekho to kahi abr ka tukda nahin hota

ghir jaata hai dil dard ki har band gali mein
chaaho ki nikal jaayen to rasta nahin hota

yaadon pe bhi jam jaati hai jab gard-e-zamaana
milta hai vo paighaam ki pahuncha nahin hota

tanhaai mein karne to hai ik baat kisi se
lekin vo kisi waqt akela nahin hota

kya us se gila kijie barbaadi-e-dil ka
hum se bhi to izhaar-e-tamanna nahin hota

किस शय पे यहाँ वक़्त का साया नहीं होता
इक ख़्वाब-ए-मोहब्बत है कि बूढ़ा नहीं होता

वो वक़्त भी आता है जब आँखों में हमारी
फिरती हैं वो शक्लें जिन्हें देखा नहीं होता

बारिश वो बरसती है कि भर जाते हैं जल-थल
देखो तो कहीं अब्र का टुकड़ा नहीं होता

घिर जाता है दिल दर्द की हर बंद गली में
चाहो कि निकल जाएँ तो रस्ता नहीं होता

यादों पे भी जम जाती है जब गर्द-ए-ज़माना
मिलता है वो पैग़ाम कि पहुँचा नहीं होता

तन्हाई में करनी तो है इक बात किसी से
लेकिन वो किसी वक़्त अकेला नहीं होता

क्या उस से गिला कीजिए बर्बादी-ए-दिल का
हम से भी तो इज़्हार-ए-तमन्ना नहीं होता

- Ahmad Mushtaq
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari