chaand us ghar ke dareechon ke barabar aaya | चाँद उस घर के दरीचों के बराबर आया

  - Ahmad Mushtaq

chaand us ghar ke dareechon ke barabar aaya
dil-e-mushtaqa thehar ja wahi manzar aaya

main bahut khush tha kaddi dhoop ke sannaate mein
kyun tiri yaad ka baadal mere sar par aaya

bujh gai raunaq-e-parwaana to mehfil chamki
so gaye ahl-e-tamanna to sitamgar aaya

yaar sab jam'a hue raat ki khaamoshi mein
koi ro kar to koi baal bana kar aaya

चाँद उस घर के दरीचों के बराबर आया
दिल-ए-मुश्ताक़ ठहर जा वही मंज़र आया

मैं बहुत ख़ुश था कड़ी धूप के सन्नाटे में
क्यूँ तिरी याद का बादल मिरे सर पर आया

बुझ गई रौनक़-ए-परवाना तो महफ़िल चमकी
सो गए अहल-ए-तमन्ना तो सितमगर आया

यार सब जम्अ हुए रात की ख़ामोशी में
कोई रो कर तो कोई बाल बना कर आया

  - Ahmad Mushtaq

Bhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Bhai Shayari Shayari