duniya mein suraagh-e-rah-e-duniya nahin milta | दुनिया में सुराग़-ए-रह-ए-दुनिया नहीं मिलता

  - Ahmad Mushtaq

duniya mein suraagh-e-rah-e-duniya nahin milta
dariya mein utar jaayen to dariya nahin milta

baaki to mukammal hai tamannaa ki imarat
ik guzre hue waqt ka sheesha nahin milta

jaate hue har cheez yahin chhod gaya tha
lautaa hoon to ik dhoop ka tukda nahin milta

jo dil mein samaaye the vo ab shaamil-e-dil hain
is aaine mein aks kisi ka nahin milta

tu ne hi to chaaha tha ki milta rahoon tujh se
teri yahi marzi hai to achha nahin milta

dil mein to dhadkane ki sada bhi nahin mushtaaq
raaste mein hai vo bheed ki rasta nahin milta

दुनिया में सुराग़-ए-रह-ए-दुनिया नहीं मिलता
दरिया में उतर जाएँ तो दरिया नहीं मिलता

बाक़ी तो मुकम्मल है तमन्ना की इमारत
इक गुज़रे हुए वक़्त का शीशा नहीं मिलता

जाते हुए हर चीज़ यहीं छोड़ गया था
लौटा हूँ तो इक धूप का टुकड़ा नहीं मिलता

जो दिल में समाए थे वो अब शामिल-ए-दिल हैं
इस आइने में अक्स किसी का नहीं मिलता

तू ने ही तो चाहा था कि मिलता रहूँ तुझ से
तेरी यही मर्ज़ी है तो अच्छा नहीं मिलता

दिल में तो धड़कने की सदा भी नहीं 'मुश्ताक़'
रस्ते में है वो भीड़ कि रस्ता नहीं मिलता

  - Ahmad Mushtaq

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari