dil mein vo shor na aankhon mein vo nam rehta hai
ab tap-e-hijr tavakko se bhi kam rehta hai
kabhi sholay se lapakte the mere seene mein
ab kisi waqt dhuaan sa koi dam rehta hai
kya khuda jaane mere dil ko hua tere ba'ad
na khushi is mein thaharti hai na gham rehta hai
rishta-e-taar-e-tamanna nahin toota ab tak
ab bhi aankhon mein tiri zulf ka kham rehta hai
chhod jaati hai har ik rut koi khushboo koi rang
na sitam rehta hai baaki na karam rehta hai
दिल में वो शोर न आँखों में वो नम रहता है
अब तप-ए-हिज्र तवक़्क़ो' से भी कम रहता है
कभी शो'ले से लपकते थे मिरे सीने में
अब किसी वक़्त धुआँ सा कोई दम रहता है
क्या ख़ुदा जाने मिरे दिल को हुआ तेरे बा'द
न ख़ुशी इस में ठहरती है न ग़म रहता है
रिश्ता-ए-तार-ए-तमन्ना नहीं टूटा अब तक
अब भी आँखों में तिरी ज़ुल्फ़ का ख़म रहता है
छोड़ जाती है हर इक रुत कोई ख़ुश्बू कोई रंग
न सितम रहता है बाक़ी न करम रहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Waqt Shayari Shayari