chaand bhi nikla sitaare bhi barabar nikle
mujh se achhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle
shaam hote hi barsne lage kaale baadal
subh-dam log dareechon mein khule sar nikle
kal hi jin ko tiri palkon pe kahi dekha tha
raat usi tarah ke taare meri chat par nikle
dhoop saawan ki bahut tez hai dil doobta hai
us se kah do ki abhi ghar se na baahar nikle
pyaar ki shaakh to jaldi hi samar le aayi
dard ke phool badi der mein ja kar nikle
dil-e-hangaama-talab ye bhi khabar hai tujh ko
muddatein ho gaeein ik shakhs ko baahar nikle
चाँद भी निकला सितारे भी बराबर निकले
मुझ से अच्छे तो शब-ए-ग़म के मुक़द्दर निकले
शाम होते ही बरसने लगे काले बादल
सुब्ह-दम लोग दरीचों में खुले सर निकले
कल ही जिन को तिरी पलकों पे कहीं देखा था
रात उसी तरह के तारे मिरी छत पर निकले
धूप सावन की बहुत तेज़ है दिल डूबता है
उस से कह दो कि अभी घर से न बाहर निकले
प्यार की शाख़ तो जल्दी ही समर ले आई
दर्द के फूल बड़ी देर में जा कर निकले
दिल-ए-हंगामा-तलब ये भी ख़बर है तुझ को
मुद्दतें हो गईं इक शख़्स को बाहर निकले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Khushboo Shayari Shayari