bhule-bisre mausamon ke darmiyaan rehta hoon main | भूले-बिसरे मौसमों के दरमियाँ रहता हूँ मैं

  - Ahmad Mushtaq

bhule-bisre mausamon ke darmiyaan rehta hoon main
ab jahaan koi nahin wahan rehta hoon main

din dhale karta hoon boodhi haddiyon se saaz-baaz
jab talak shab dhal nahin jaati jawaan rehta hoon main

kya khabar un ko bhi aata ho kabhi mera khayal
kin malaalon mein hoon kaisa hoon kahaan rehta hoon main

jagmagate jaagte shehron mein rehta hoon malool
soi soi bastiyon mein shaadmaan rehta hoon main

bota rehta hoon hawa mein gum-shuda nagmon ke beej
vo samjhte hain ki masroof-e-fughaan rehta hoon main

भूले-बिसरे मौसमों के दरमियाँ रहता हूँ मैं
अब जहाँ कोई नहीं वहाँ रहता हूँ मैं

दिन ढले करता हूँ बूढ़ी हड्डियों से साज़-बाज़
जब तलक शब ढल नहीं जाती जवाँ रहता हूँ मैं

क्या ख़बर उन को भी आता हो कभी मेरा ख़याल
किन मलालों में हूँ कैसा हूँ कहाँ रहता हूँ मैं

जगमगाते जागते शहरों में रहता हूँ मलूल
सोई सोई बस्तियों में शादमाँ रहता हूँ मैं

बोता रहता हूँ हवा में गुम-शुदा नग़्मों के बीज
वो समझते हैं कि मसरूफ़-ए-फ़ुग़ाँ रहता हूँ मैं

  - Ahmad Mushtaq

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari