shaam hoti hai to yaad aati hai saari baatein
vo dopahron ki khamoshi vo hamaari baatein
aankhen kholoon to dikhaai nahin deta koi
band karta hoon to ho jaati hain jaari baatein
kabhi ik harf nikalta nahin munh se mere
kabhi ik saans mein kar jaata hoon saari baatein
jaane kis khaak mein poshida hain aansu mere
kin fazaaon mein mu'alliq hain tumhaari baatein
kis mulaqaat ki ummeed liye baitha hoon
main ne kis din pe utha rakhi hain saari baatein
शाम होती है तो याद आती है सारी बातें
वो दोपहरों की ख़मोशी वो हमारी बातें
आँखें खोलूँ तो दिखाई नहीं देता कोई
बंद करता हूँ तो हो जाती हैं जारी बातें
कभी इक हर्फ़ निकलता नहीं मुँह से मेरे
कभी इक साँस में कर जाता हूँ सारी बातें
जाने किस ख़ाक में पोशीदा हैं आँसू मेरे
किन फ़ज़ाओं में मुअ'ल्लक़ हैं तुम्हारी बातें
किस मुलाक़ात की उम्मीद लिए बैठा हूँ
मैं ने किस दिन पे उठा रक्खी हैं सारी बातें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq
our suggestion based on Ahmad Mushtaq
As you were reading Aansoo Shayari Shayari