ik phool mere paas tha ik sham'a mere saath thi | इक फूल मेरे पास था इक शम्अ' मेरे साथ थी - Ahmad Mushtaq

ik phool mere paas tha ik sham'a mere saath thi
baahar khizaan ka zor tha andar andheri raat thi

aise pareshaan to na the toote hue sannahte
jab ishq ki tere mere gham par basr-auqaat thi

kuch tum kaho tum ne kahaan kaise guzaare roz-o-shab
apne na milne ka sabab to gardish-e-haalat thi

ik khaamoshi thi tar-b-tar deewar-e-mizgaan se udhar
pahuncha hua paighaam tha barsi hui barsaat thi

sab phool darwaazon mein the sab rang aawazon mein the
ik shehar dekha tha kabhi us shehar ki kya baat thi

ye hain naye logon ke ghar sach hai ab un ko kya khabar
dil bhi kisi ka naam tha gham bhi kisi ki zaat thi

इक फूल मेरे पास था इक शम्अ' मेरे साथ थी
बाहर ख़िज़ाँ का ज़ोर था अंदर अँधेरी रात थी

ऐसे परेशाँ तो न थे टूटे हुए सन्नाहटे
जब इश्क़ की तेरे मिरे ग़म पर बसर-औक़ात थी

कुछ तुम कहो तुम ने कहाँ कैसे गुज़ारे रोज़-ओ-शब
अपने न मिलने का सबब तो गर्दिश-ए-हालात थी

इक ख़ामुशी थी तर-ब-तर दीवार-ए-मिज़्गाँ से उधर
पहुँचा हुआ पैग़ाम था बरसी हुई बरसात थी

सब फूल दरवाज़ों में थे सब रंग आवाज़ों में थे
इक शहर देखा था कभी उस शहर की क्या बात थी

ये हैं नए लोगों के घर सच है अब उन को क्या ख़बर
दिल भी किसी का नाम था ग़म भी किसी की ज़ात थी

- Ahmad Mushtaq
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mushtaq

As you were reading Shayari by Ahmad Mushtaq

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mushtaq

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari