gham kii dastaar churaane waale
ham to hain pyaar nibhaane waale
gaur karna tu udaasi par bhi
meri tasveer banaane waale
mar gaye gham ke hi haathon se phir
jo the khushiyon ke khazaane waale
chaar sandese hi aaye uske
aur chaaron hi bahaane waale
apni aadat bhi chhuda ke jaana
mujhse haathon ko chhudaane waale
uski shaadi pe the goonge ham bhi
yaani ham bhi the zamaane waale
haath malta raha ladka rokar
le gaye ladki le jaane waale
ग़म की दस्तार चुराने वाले
हम तो हैं प्यार निभाने वाले
ग़ौर करना तू उदासी पर भी
मेरी तस्वीर बनाने वाले
मर गए ग़म के ही हाथों से फिर
जो थे ख़ुशियों के ख़ज़ाने वाले
चार संदेशे ही आए उसके
और चारों ही बहाने वाले
अपनी आदत भी छुड़ा के जाना
मुझसे हाथों को छुड़ाने वाले
उसकी शादी पे थे गूँगे हम भी
यानी हम भी थे ज़माने वाले
हाथ मलता रहा लड़का रोकर
ले गए लड़की ले जाने वाले
As you were reading Shayari by Jonty nain
our suggestion based on Jonty nain
As you were reading undefined Shayari