aaye ham ghalib-o-iqbaal ke naghmaat ke baad
musahaf-e-ishq-o-junoon husn ki aayaat ke baad
ai watan khaak-e-watan vo bhi tujhe de denge
bach gaya hai jo lahu ab ke fasaadaat ke ba'ad
naar-e-namrood yahi aur yahi gulzaar-e-khaleel
koi aatish nahin aatish-kada-e-zaat ke ba'ad
raam-o-gautam ki zameen hurmata-e-insaan ki ameen
baanjh ho jaayegi kya khoon ki barsaat ke ba'ad
tishnagi hai ki bujaaye nahin bujhti sardaar
badh gai kausr-o-tasneem ki sougaat ke ba'ad
आए हम 'ग़ालिब'-ओ-'इक़बाल' के नग़्मात के बाद
'मुसहफ़'-ए-इश्क़-ओ-जुनूँ हुस्न की आयात के बाद
ऐ वतन ख़ाक-ए-वतन वो भी तुझे दे देंगे
बच गया है जो लहू अब के फ़सादात के बा'द
नार-ए-नमरूद यही और यही गुलज़ार-ए-ख़लील
कोई आतिश नहीं आतिश-कदा-ए-ज़ात के बा'द
राम-ओ-गौतम की ज़मीं हुर्मत-ए-इंसाँ की अमीं
बाँझ हो जाएगी क्या ख़ून की बरसात के बा'द
तिश्नगी है कि बुझाए नहीं बुझती 'सरदार'
बढ़ गई कौसर-ओ-तसनीम की सौग़ात के बा'द
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Murder Shayari Shayari