vo meri dost vo hamdard vo gham-khwaar aankhen
ek maasoom mohabbat ki gunahgaar aankhen
shokh-o-shaadab-o-haseen saada-o-purkaar aankhen
mast-o-sarshaar-o-jawaan be-khud-o-hoshiyaar aankhen
tirchi nazaron mein vo uljhi hui suraj ki kiran
apne duzdeeda ishaaron mein girftaar aankhen
jumbish-e-abroo-o-mizgaan kai khunuk saaye mein
aatish-afroz junoon-khez sharar-baar aankhen
kaifiyat dil ki sunaati hui ek ek nigaah
be-zabaan ho ke bhi vo maail-e-guftaar aankhen
mausam-e-gul mein vo udte hue bhaunron ki tarah
guncha-e-dil pe vo karti hui yalghaar aankhen
kabhi chhalki hui sharbat ke katoron ki tarah
aur kabhi zahar mein doobi hui talwaar aankhen
kabhi thehri hui yakh-basta ghamon ki jheelein
kabhi sehama hua simtaa hua ik pyaar aankhen
kabhi jhukte hue baadal kabhi girti bijli
kabhi uthati hui aamada-e-paikaar aankhen
nok-e-abroo mein kabhi talkhi-e-inkaar liye
kabhi ghole hue sheerini-e-iqraar aankhen
aanch mein apni jawaani ki sulagti chitwan
shabnam-e-ashk mein dhoi hui gulnaar aankhen
husn ke chaand se mukhde pe chamakte taare
haaye aankhen vo harif-e-lab-o-rukhsaar aankhen
ishwa-o-ghamza-o-andaaz-o-ada par naazaan
apne pindaar-e-jawaani ki parastaar aankhen
rooh ko rog mohabbat ka laga deti hain
sehat-e-dil jo ata karti hain beemaar aankhen
sehan-e-zindan mein hai phir raat ke taaron ka hujoom
sham'a ki tarah farozaan sar-e-deewaar aankhen
वो मिरी दोस्त वो हमदर्द वो ग़म-ख़्वार आँखें
एक मासूम मोहब्बत की गुनहगार आँखें
शोख़-ओ-शादाब-ओ-हसीं सादा-ओ-पुरकार आँखें
मस्त-ओ-सरशार-ओ-जवाँ बे-ख़ुद-ओ-होशियार आँखें
तिरछी नज़रों में वो उलझी हुई सूरज की किरन
अपने दुज़्दीदा इशारों में गिरफ़्तार आँखें
जुम्बिश-ए-अबरू-ओ-मिज़्गाँ कै ख़ुनुक साए में
आतिश-अफ़रोज़ जुनूँ-ख़ेज़ शरर-बार आँखें
कैफ़ियत दिल की सुनाती हुई एक एक निगाह
बे-ज़बाँ हो के भी वो माइल-ए-गुफ़्तार आँखें
मौसम-ए-गुल में वो उड़ते हुए भौँरों की तरह
ग़ुंचा-ए-दिल पे वो करती हुई यलग़ार आँखें
कभी छलकी हुई शर्बत के कटोरों की तरह
और कभी ज़हर में डूबी हुई तलवार आँखें
कभी ठहरी हुई यख़-बस्ता ग़मों की झीलें
कभी सहमा हुआ सिमटा हुआ इक प्यार आँखें
कभी झुकते हुए बादल कभी गिरती बिजली
कभी उठती हुई आमादा-ए-पैकार आँखें
नोक-ए-अबरू में कभी तलख़ी-ए-इंकार लिए
कभी घोले हुए शीरीनी-ए-इक़रार आँखें
आँच में अपनी जवानी की सुलगती चितवन
शबनम-ए-अश्क में धोई हुई गुलनार आँखें
हुस्न के चाँद से मुखड़े पे चमकते तारे
हाए आँखें वो हरीफ़-ए-लब-ओ-रुख़सार आँखें
इशवा-ओ-ग़मज़ा-ओ-अंदाज़-ओ-अदा पर नाज़ाँ
अपने पिंदार-ए-जवानी की परस्तार आँखें
रूह को रोग मोहब्बत का लगा देती हैं
सेहत-ए-दिल जो अता करती हैं बीमार आँखें
सेहन-ए-ज़िंदाँ में है फिर रात के तारों का हुजूम
शम्अ' की तरह फ़रोज़ाँ सर-ए-दीवार आँखें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ali Sardar Jafri
our suggestion based on Ali Sardar Jafri
As you were reading Bimar Shayari Shayari