mere dil mein jaag raha hai phir se dard puraana sa | मेरे दिल में जाग रहा है फिर से दर्द पुराना सा - Ambar

mere dil mein jaag raha hai phir se dard puraana sa
bin pooche hi ghar kar baitha banda ik anjaana sa

mere watan ki mitti ki hi khushboo aati hai usse
lagta hai vo shakhs na jaane kyun jaana pahchaana sa

kal tak to tha sab kuch mera tere vida ho jaane se
apne ghar ke aangan mein hi lagta hoon begaana sa

bachpan uska kyun cheenu kyun rokun sharaarat karne se
mere andar bhi hai baalak main bhi hoon bachkaana sa

le chal mujhko un galiyon mein jee luun main phir se vo pal
bade dinon ke baad mile hain chhed wahi afsaana sa

मेरे दिल में जाग रहा है फिर से दर्द पुराना सा
बिन पूछे ही घर कर बैठा बंदा इक अनजाना सा

मेरे वतन की मिट्टी की ही ख़ुशबू आती है उससे
लगता है वो शख़्स न जाने क्यूँ जाना पहचाना सा

कल तक तो था सब कुछ मेरा तेरे विदा हो जाने से
अपने घर के आँगन में ही लगता हूँ बेगाना सा

बचपन उसका क्यूँ छीनूं क्यूँ रोकूँ शरारत करने से
मेरे अंदर भी है बालक मैं भी हूँ बचकाना सा

ले चल मुझको उन गलियों में जी लूँ मैं फिर से वो पल
बड़े दिनों के बाद मिले हैं छेड़ वही अफ़साना सा

- Ambar
1 Like

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ambar

As you were reading Shayari by Ambar

Similar Writers

our suggestion based on Ambar

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari