mazid ik baar par baar-e-giraan rakha gaya hai
zameen jo tere upar aasmaan rakha gaya hai
kabhi tu cheekh kar awaaz de to jaan jaaun
mere zindaan mein tujh ko kahaan rakha gaya hai
meri neendon mein rahti hai sada tishna-dahaani
mere khwaabon mein ik dariya ravaan rakha gaya hai
hawa ke saath phoolon se nikalne ki saza mein
bhatkati khushbuon ko be-amaan rakha gaya hai
magar ye dil bahalta hi nahin go is ke aage
tumhaare b'ad ye saara jahaan rakha gaya hai
मज़ीद इक बार पर बार-ए-गिराँ रक्खा गया है
ज़मीं जो तेरे उपर आसमाँ रक्खा गया है
कभी तू चीख़ कर आवाज़ दे तो जान जाऊँ
मिरे ज़िंदान में तुझ को कहाँ रक्खा गया है
मिरी नींदों में रहती है सदा तिश्ना-दहानी
मिरे ख़्वाबों में इक दरिया रवाँ रक्खा गया है
हवा के साथ फूलों से निकलने की सज़ा में
भटकती ख़ुशबुओं को बे-अमाँ रक्खा गया है
मगर ये दिल बहलता ही नहीं गो इस के आगे
तुम्हारे ब'अद ये सारा जहाँ रक्खा गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Nadii Shayari Shayari