har gaam haadsa hai thehar jaaie janab | हर गाम हादसा है ठहर जाइए जनाब

  - Ameer Qazalbash

har gaam haadsa hai thehar jaaie janab
rasta agar ho yaad to ghar jaaie janab

zinda haqeeqaton ke talaatum hain saamne
khwaabon ki kashtiyon se utar jaaie janab

insaaf ki saleeb hoon sacchaaiyon ka zahar
mujh se mile baghair guzar jaaie janab

din ka safar to kat gaya suraj ke saath saath
ab shab ki anjuman mein bikhar jaaie janab

koi chura ke le gaya sadiyon ka e'tiqaad
mimbar ki seedhiyon se utar jaaie janab

हर गाम हादसा है ठहर जाइए जनाब
रस्ता अगर हो याद तो घर जाइए जनाब

ज़िंदा हक़ीक़तों के तलातुम हैं सामने
ख़्वाबों की कश्तियों से उतर जाइए जनाब

इंसाफ़ की सलीब हूँ सच्चाइयों का ज़हर
मुझ से मिले बग़ैर गुज़र जाइए जनाब

दिन का सफ़र तो कट गया सूरज के साथ साथ
अब शब की अंजुमन में बिखर जाइए जनाब

कोई चुरा के ले गया सदियों का ए'तिक़ाद
मिम्बर की सीढ़ियों से उतर जाइए जनाब

  - Ameer Qazalbash

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari