fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhaai hai
zindagi kitne hawadis se guzar aayi hai
log jis haal mein marne ki dua karte hain
main ne us haal mein jeene ki qasam khaai hai
ham na suqraat na mansoor na eesa lekin
jo bhi qaateel hai hamaara hi tamannaai hai
zindagi aur hain kitne tire chehre ye bata
tujh se ik umr ki haalaanki shanaasaai hai
kaun na-waaqif-e-anjaam-e-tabassum hai ameer
mere haalaat pe ye kis ko hasi aayi hai
फ़िक्र-ए-ग़ुर्बत है न अंदेशा-ए-तन्हाई है
ज़िंदगी कितने हवादिस से गुज़र आई है
लोग जिस हाल में मरने की दुआ करते हैं
मैं ने उस हाल में जीने की क़सम खाई है
हम न सुक़रात न मंसूर न ईसा लेकिन
जो भी क़ातिल है हमारा ही तमन्नाई है
ज़िंदगी और हैं कितने तिरे चेहरे ये बता
तुझ से इक उम्र की हालाँकि शनासाई है
कौन ना-वाक़िफ़-ए-अंजाम-ए-तबस्सुम है 'अमीर'
मेरे हालात पे ये किस को हँसी आई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Aadmi Shayari Shayari