zabaan hai magar be-zabaanon mein hai | ज़बाँ है मगर बे-ज़बानों में है - Ameer Qazalbash

zabaan hai magar be-zabaanon mein hai
naseehat koi us ke kaanon mein hai

chalo sahilon ki taraf rukh karein
abhi to hawa baadbaanon mein hai

zameen par ho apni hifazat karo
khuda to miyaan aasmaanon mein hai

na jaane ye ehsaas kyun hai mujhe
vo ab tak mere paasbaanon mein hai

saja to liye ham ne deewar-o-dar
udaasi abhi tak makaanon mein hai

hawa rukh badalti rahe bhi to kya
parinda to apni uraano mein hai

ज़बाँ है मगर बे-ज़बानों में है
नसीहत कोई उस के कानों में है

चलो साहिलों की तरफ़ रुख़ करें
अभी तो हवा बादबानों में है

ज़मीं पर हो अपनी हिफ़ाज़त करो
ख़ुदा तो मियाँ आसमानों में है

न जाने ये एहसास क्यूँ है मुझे
वो अब तक मिरे पासबानों में है

सजा तो लिए हम ने दीवार-ओ-दर
उदासी अभी तक मकानों में है

हवा रुख़ बदलती रहे भी तो क्या
परिंदा तो अपनी उड़ानों में है

- Ameer Qazalbash
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari