na pooch manzar-e-shaam-o-seher pe kya guzri | न पूछ मंज़र-ए-शाम-ओ-सहर पे क्या गुज़री

  - Ameer Qazalbash

na pooch manzar-e-shaam-o-seher pe kya guzri
nigaah jab bhi haqeeqat se aashna guzri

hamaare vaaste veeraani-e-nazar har soo
humeen ne dasht sajaaye humeen pe kya guzri

na jaane kaisi haqeeqat ka aaina hoon main
nazar nazar mere nazdeek se khafa guzri

ye zard ho gaye kaise hare bhare ashjaar
jo log saaye mein baithe the un pe kya guzri

ghuroob hoti raheen us ki nekiyaan din mein
har ek raat gunaahon ki be-saza guzri

jala raha tha sar-e-shaam mishalein koi
tamaam raat uljhti hui hawa guzri

na dekh paoge be-manzari ujaalon ki
ye raat dhalne lagi to koi sada guzri

न पूछ मंज़र-ए-शाम-ओ-सहर पे क्या गुज़री
निगाह जब भी हक़ीक़त से आश्ना गुज़री

हमारे वास्ते वीरानी-ए-नज़र हर सू
हमीं ने दश्त सजाए हमीं पे क्या गुज़री

न जाने कैसी हक़ीक़त का आइना हूँ मैं
नज़र नज़र मिरे नज़दीक से ख़फ़ा गुज़री

ये ज़र्द हो गए कैसे हरे भरे अश्जार
जो लोग साए में बैठे थे उन पे क्या गुज़री

ग़ुरूब होती रहीं उस की नेकियाँ दिन में
हर एक रात गुनाहों की बे-सज़ा गुज़री

जला रहा था सर-ए-शाम मिशअलें कोई
तमाम रात उलझती हुई हवा गुज़री

न देख पाओगे बे-मंज़री उजालों की
ये रात ढलने लगी तो कोई सदा गुज़री

  - Ameer Qazalbash

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari