band aankhon se vo manzar dekhoon | बंद आँखों से वो मंज़र देखूँ

  - Ameer Qazalbash

band aankhon se vo manzar dekhoon
reg-e-sehra ko samundar dekhoon

kya guzarti hai mere baad us par
aaj main us se bichhad kar dekhoon

shehar ka shehar hua patthar ka
main ne chaaha tha ki mud kar dekhoon

khauf tanhaai ghutan sannaata
kya nahin mujh mein jo baahar dekhoon

hai har ik shakhs ka dil patthar ka
main jidhar jaaun ye patthar dekhoon

kuchh to andaaza-e-toofan ho ameer
naav kaaghaz ki chala kar dekhoon

बंद आँखों से वो मंज़र देखूँ
रेग-ए-सहरा को समुंदर देखूँ

क्या गुज़रती है मिरे बाद उस पर
आज मैं उस से बिछड़ कर देखूँ

शहर का शहर हुआ पत्थर का
मैं ने चाहा था कि मुड़ कर देखूँ

ख़ौफ़ तन्हाई घुटन सन्नाटा
क्या नहीं मुझ में जो बाहर देखूँ

है हर इक शख़्स का दिल पत्थर का
मैं जिधर जाऊँ ये पत्थर देखूँ

कुछ तो अंदाज़ा-ए-तूफ़ाँ हो 'अमीर'
नाव काग़ज़ की चला कर देखूँ

  - Ameer Qazalbash

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari