daaman pe lahu haath mein khanjar na milega
mil jaayega phir bhi vo sitamgar na milega
patthar liye haathon mein jise dhundh raha hai
vo tujh ko tiri zaat se baahar na milega
aankhon mein basa lo ye ubharta hua suraj
din dhalne lagega to ye manzar na milega
main apne hi ghar mein hoon magar soch raha hoon
kya mujh ko mere ghar mein mera ghar na milega
guzaro kisi basti se zara bhes badal kar
naqshe mein tumhein shehr-e-sitmgar na milega
दामन पे लहू हाथ में ख़ंजर न मिलेगा
मिल जाएगा फिर भी वो सितमगर न मिलेगा
पत्थर लिए हाथों में जिसे ढूँड रहा है
वो तुझ को तिरी ज़ात से बाहर न मिलेगा
आँखों में बसा लो ये उभरता हुआ सूरज
दिन ढलने लगेगा तो ये मंज़र न मिलेगा
मैं अपने ही घर में हूँ मगर सोच रहा हूँ
क्या मुझ को मिरे घर में मिरा घर न मिलेगा
गुज़रो किसी बस्ती से ज़रा भेस बदल कर
नक़्शे में तुम्हें शहर-ए-सितमगर न मिलेगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Nazara Shayari Shayari