nadi ke paar ujaala dikhaai deta hai | नदी के पार उजाला दिखाई देता है

  - Ameer Qazalbash

nadi ke paar ujaala dikhaai deta hai
mujhe ye khwaab hamesha dikhaai deta hai

baras rahi hain aqeedat ki badliyaan lekin
shooor aaj pyaasa dikhaai deta hai

charaagh-e-manzil-e-farda jalaaega ik roz
vo raahgeer jo tanhaa dikhaai deta hai

tiri nigaah ne halka sa naqsh chhodaa tha
magar ye zakham to gahra dikhaai deta hai

kisi khayal ki mish'al kisi sada ka charaagh
har ek samt andhera dikhaai deta hai

ameer pooch raha hoon gham-e-zamaana se
hamaare ghar mein tujhe kya dikhaai deta hai

नदी के पार उजाला दिखाई देता है
मुझे ये ख़्वाब हमेशा दिखाई देता है

बरस रही हैं अक़ीदत की बदलियाँ लेकिन
शुऊर आज प्यासा दिखाई देता है

चराग़-ए-मंज़िल-ए-फ़र्दा जलाएगा इक रोज़
वो राहगीर जो तन्हा दिखाई देता है

तिरी निगाह ने हल्का सा नक़्श छोड़ा था
मगर ये ज़ख़्म तो गहरा दिखाई देता है

किसी ख़याल की मिश्अल किसी सदा का चराग़
हर एक सम्त अंधेरा दिखाई देता है

'अमीर' पूछ रहा हूँ ग़म-ए-ज़माना से
हमारे घर में तुझे क्या दिखाई देता है

  - Ameer Qazalbash

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari