chalo ki khud hi karein roo-numaaiyan apni
saroon pe le ke chalen kaj-kulaahiyaan apni
sabhi ko paar utarne ki justuju lekin
na baadbaan na samundar na kashtiyaan apni
vo kah gaya hai ki ik din zaroor aaunga
zara qareeb se dekhoonga dooriyaan apni
mere pados mein aise bhi log baste hain
jo mujh mein dhundh rahe hain buraiyaan apni
mujhe khabar hai vo meri talash mein hoga
main chhod aaya hoon ik baat darmiyaan apni
main boond boond ki khairaat kab talak maanguun
samet laaun samundar se seepiyaan apni
mere kahe hue lafzon ki qadr-o-qeemat thi
main apne kaan mein kehne laga azaan apni
karega sar wahi is dasht-e-be-karaan ko ameer
jala ke aaye jo saahil pe kashtiyaan apni
चलो कि ख़ुद ही करें रू-नुमाइयाँ अपनी
सरों पे ले के चलें कज-कुलाहियाँ अपनी
सभी को पार उतरने की जुस्तुजू लेकिन
न बादबाँ न समुंदर न कश्तियाँ अपनी
वो कह गया है कि इक दिन ज़रूर आऊँगा
ज़रा क़रीब से देखूँगा दूरियाँ अपनी
मिरे पड़ोस में ऐसे भी लोग बसते हैं
जो मुझ में ढूँड रहे हैं बुराइयाँ अपनी
मुझे ख़बर है वो मेरी तलाश में होगा
मैं छोड़ आया हूँ इक बात दरमियाँ अपनी
मैं बूँद बूँद की ख़ैरात कब तलक माँगूँ
समेट लाऊँ समुंदर से सीपियाँ अपनी
मिरे कहे हुए लफ़्ज़ों की क़द्र-ओ-क़ीमत थी
मैं अपने कान में कहने लगा अज़ाँ अपनी
करेगा सर वही इस दश्त-ए-बे-कराँ को 'अमीर'
जला के आए जो साहिल पे कश्तियाँ अपनी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Mashwara Shayari Shayari