apne hamraah khud chala karna | अपने हमराह ख़ुद चला करना

  - Ameer Qazalbash

apne hamraah khud chala karna
kaun aayega mat ruka karna

khud ko pehchaanne ki koshish mein
der tak aaina taka karna

rukh agar bastiyon ki jaanib hai
har taraf dekh kar chala karna

vo payambar tha bhool jaata tha
sirf apne liye dua karna

yaar kya zindagi hai suraj ki
subh se shaam tak jala karna

kuchh to apni khabar mile mujh ko
mere baare mein kuchh kaha karna

main tumhein aazmaaunga ab ke
tum mohabbat ki intiha karna

us ne sach bol kar bhi dekha hai
jis ki aadat hai chup raha karna

अपने हमराह ख़ुद चला करना
कौन आएगा मत रुका करना

ख़ुद को पहचानने की कोशिश में
देर तक आइना तका करना

रुख़ अगर बस्तियों की जानिब है
हर तरफ़ देख कर चला करना

वो पयम्बर था भूल जाता था
सिर्फ़ अपने लिए दुआ करना

यार क्या ज़िंदगी है सूरज की
सुब्ह से शाम तक जला करना

कुछ तो अपनी ख़बर मिले मुझ को
मेरे बारे में कुछ कहा करना

मैं तुम्हें आज़माऊँगा अब के
तुम मोहब्बत की इंतिहा करना

उस ने सच बोल कर भी देखा है
जिस की आदत है चुप रहा करना

  - Ameer Qazalbash

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari