jang jaari hai khaandaanon mein
gair mahfooz hoon makaanon mein
lafz pathra gaye hain honton par
log kya kah gaye hain kaanon mein
raat ghar mein thi sar-firi aandhi
sirf kaante hain phooldaanon mein
maabadon ki khabar nahin mujh ko
khairiyat hai sharaab-khaanon mein
ab sipar dhundh koi apne liye
teer kam rah gaye kamaanon mein
nakhuda kya khuda rakhe mahfooz
vo hawaaein hain baadbaanon mein
daal chunne mein haath aayenge
jitne kankar hain kaar-khaano mein
dhundhta phir raha hoon khaali haath
jaane kya cheez un dukano mein
जंग जारी है ख़ानदानों में
ग़ैर महफ़ूज़ हूँ मकानों में
लफ़्ज़ पथरा गए हैं होंटों पर
लोग क्या कह गए हैं कानों में
रात घर में थी सर-फिरी आँधी
सिर्फ़ काँटे हैं फूलदानों में
माबदों की ख़बर नहीं मुझ को
ख़ैरियत है शराब-ख़ानों में
अब सिपर ढूँड कोई अपने लिए
तीर कम रह गए कमानों में
नाख़ुदा क्या ख़ुदा रखे महफ़ूज़
वो हवाएँ हैं बादबानों में
दाल चुनने में हाथ आएँगे
जितने कंकर हैं कार-ख़ानों में
ढूँडता फिर रहा हूँ ख़ाली हाथ
जाने क्या चीज़ उन दुकानों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Teer Shayari Shayari