nazar mein har dushwaari rakh
khwaabon mein bedaari rakh
duniya se jhuk kar mat mil
rishton mein hamvaari rakh
soch samajh kar baatein kar
lafzon mein tahdaari rakh
futpaathon par chain se so
ghar mein shab-bedaari rakh
tu bhi sab jaisa ban ja
beech mein duniyadari rakh
ek khabar hai tere liye
dil par patthar bhari rakh
khaali haath nikal ghar se
zaad-e-safar ahl-e-mohabbat rakh
sher suna aur bhooka mar
is khidmat ko jaari rakh
नज़र में हर दुश्वारी रख
ख़्वाबों में बेदारी रख
दुनिया से झुक कर मत मिल
रिश्तों में हमवारी रख
सोच समझ कर बातें कर
लफ़्ज़ों में तहदारी रख
फ़ुटपाथों पर चैन से सो
घर में शब-बेदारी रख
तू भी सब जैसा बन जा
बीच में दुनिया-दारी रख
एक ख़बर है तेरे लिए
दिल पर पत्थर भारी रख
ख़ाली हाथ निकल घर से
ज़ाद-ए-सफ़र हुश्यारी रख
शेर सुना और भूका मर
इस ख़िदमत को जारी रख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Chehra Shayari Shayari