mere junoon ka nateeja zaroor niklega | मिरे जुनूँ का नतीजा ज़रूर निकलेगा - Ameer Qazalbash

mere junoon ka nateeja zaroor niklega
isee siyaah samundar se noor niklega

gira diya hai to saahil pe intizaar na kar
agar vo doob gaya hai to door niklega

usi ka shehar wahi muddai wahi munsif
humein yaqeen tha hamaara qusoor niklega

yaqeen na aaye to ik baat pooch kar dekho
jo hans raha hai vo zakhamon se choor niklega

us aasteen se ashkon ko pochne waale
us aasteen se khanjar zaroor niklega

मिरे जुनूँ का नतीजा ज़रूर निकलेगा
इसी सियाह समुंदर से नूर निकलेगा

गिरा दिया है तो साहिल पे इंतिज़ार न कर
अगर वो डूब गया है तो दूर निकलेगा

उसी का शहर वही मुद्दई वही मुंसिफ़
हमें यक़ीं था हमारा क़ुसूर निकलेगा

यक़ीं न आए तो इक बात पूछ कर देखो
जो हँस रहा है वो ज़ख़्मों से चूर निकलेगा

उस आस्तीन से अश्कों को पोछने वाले
उस आस्तीन से ख़ंजर ज़रूर निकलेगा

- Ameer Qazalbash
1 Like

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari