un ki be-rukhi mein bhi iltifaat shaamil hai | उन की बे-रुख़ी में भी इल्तिफ़ात शामिल है

  - Ameer Qazalbash

un ki be-rukhi mein bhi iltifaat shaamil hai
aaj kal meri haalat dekhne ke qaabil hai




qatl ho to mera sa maut ho to meri si
mere sogwaaron mein aaj mera qaateel hai




har qadam pe naakaami har qadam pe mehroomi
ghaliban koi dushman doston mein shaamil hai




muztarib hain maujen kyun uth rahe hain toofaan kyun
kya kisi safeene ko aarzoo-e-saahil hai




sirf raahzan hi se kyun ameer shikwa ho
manzilon ki raahon mein raahbar bhi haa'il hai

उन की बे-रुख़ी में भी इल्तिफ़ात शामिल है
आज कल मिरी हालत देखने के क़ाबिल है




क़त्ल हो तो मेरा सा मौत हो तो मेरी सी
मेरे सोगवारों में आज मेरा क़ातिल है




हर क़दम पे नाकामी हर क़दम पे महरूमी
ग़ालिबन कोई दुश्मन दोस्तों में शामिल है




मुज़्तरिब हैं मौजें क्यूँ उठ रहे हैं तूफ़ाँ क्यूँ
क्या किसी सफ़ीने को आरज़ू-ए-साहिल है




सिर्फ़ राहज़न ही से क्यूँ 'अमीर' शिकवा हो
मंज़िलों की राहों में राहबर भी हाइल है

  - Ameer Qazalbash

Shikwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Shikwa Shayari Shayari