door baitha hua tanhaa sab se
jaane kya soch raha hoon kab se
apni taaid bhi dushwaar hui
aaina toot gaya hai jab se
ghar se nikloon to manaa kar laaun
vo tabassum jo khafa hai lab se
mere alfaaz wahi hain lekin
mera mafhoom juda hai sab se
jab se azaad kiya hai us ne
har nafs ek saza hai tab se
दूर बैठा हुआ तन्हा सब से
जाने क्या सोच रहा हूँ कब से
अपनी ताईद भी दुश्वार हुई
आइना टूट गया है जब से
घर से निकलूँ तो मना कर लाऊँ
वो तबस्सुम जो ख़फ़ा है लब से
मेरे अल्फ़ाज़ वही हैं लेकिन
मेरा मफ़्हूम जुदा है सब से
जब से आज़ाद किया है उस ने
हर नफ़स एक सज़ा है तब से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Chehra Shayari Shayari