nazar aane se pehle dar raha hoon | नज़र आने से पहले डर रहा हूँ

  - Ameer Qazalbash

nazar aane se pehle dar raha hoon
ki har manzar ka pas-manzar raha hoon

mujhe hona padega reza reza
main sar se paanv tak patthar raha hoon

kisi ko kyun main ye ezaaz bakshoonga
main khud apni hifazat kar raha hoon

mujhi ko surkh-roo hone ka haq hai
ki main apne lahu mein tar raha hoon

mere ghar mein to koi bhi nahin hai
khuda jaane main kis se dar raha hoon

main kya jaanoon gharo ka haal kya hai
main saari zindagi baahar raha hoon

taalluq hai isee basti se mera
hamesha se magar bach kar raha hoon

नज़र आने से पहले डर रहा हूँ
कि हर मंज़र का पस-मंज़र रहा हूँ

मुझे होना पड़ेगा रेज़ा रेज़ा
मैं सर से पाँव तक पत्थर रहा हूँ

किसी को क्यूँ मैं ये एज़ाज़ बख़़शुंगा
मैं ख़ुद अपनी हिफ़ाज़त कर रहा हूँ

मुझी को सुर्ख़-रू होने का हक़ है
कि मैं अपने लहू में तर रहा हूँ

मिरे घर में तो कोई भी नहीं है
ख़ुदा जाने मैं किस से डर रहा हूँ

मैं क्या जानूँ घरों का हाल क्या है
मैं सारी ज़िंदगी बाहर रहा हूँ

तअल्लुक़ है इसी बस्ती से मेरा
हमेशा से मगर बच कर रहा हूँ

  - Ameer Qazalbash

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari