kahi saleeb kahi karbala nazar aaye
jidhar nigaah uthe zakham sa nazar aaye
bujhi hai pyaas zameen ki to ye tapish kyun hai
vo abr hai to barsta hua nazar aaye
baja hai apni aqeedat magar sawaal ye hai
vo aadmi ho to kyunkar khuda nazar aaye
chalo ki gher len us ko lahu lahu chehre
har ek samt use aaina nazar aaye
humeen ne tan se juda kar liya hai sar apna
bas ek ham the jo sab se juda nazar aaye
kahaan kahaan abhi imkaan-e-zindagi hai ameer
dhuaan chatte to koi raasta nazar aaye
कहीं सलीब कहीं कर्बला नज़र आए
जिधर निगाह उठे ज़ख़्म सा नज़र आए
बुझी है प्यास ज़मीं की तो ये तपिश क्यूँ है
वो अब्र है तो बरसता हुआ नज़र आए
बजा है अपनी अक़ीदत मगर सवाल ये है
वो आदमी हो तो क्यूँकर ख़ुदा नज़र आए
चलो कि घेर लें उस को लहू लहू चेहरे
हर एक सम्त उसे आइना नज़र आए
हमीं ने तन से जुदा कर लिया है सर अपना
बस एक हम थे जो सब से जुदा नज़र आए
कहाँ कहाँ अभी इमकान-ए-ज़ि़ंदगी है 'अमीर'
धुआँ छटे तो कोई रास्ता नज़र आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Pollution Shayari Shayari