mere haal par meherbaani kare | मिरे हाल पर मेहरबानी करे

  - Ameer Qazalbash

mere haal par meherbaani kare
khuda se kaho hukm-e-saani kare

main ik boond paani badi cheez hoon
samundar meri paasbaani kare

padhen log tahreer-e-deewar o dar
khulasa meri be-zabaani kare

azal se main us ke ta'aqub mein hoon
jo lamha mujhe ghair-faani kare

vo bakshe ujaale kisi subh ko
koi shaam raushan suhaani kare

mere saaye mein sab hain mere siva
koi to meri saaebaani kare

koi hai jo badh ke utha le ameer
vo tesha jo patthar ko paani kare

मिरे हाल पर मेहरबानी करे
ख़ुदा से कहो हुक्म-ए-सानी करे

मैं इक बूँद पानी बड़ी चीज़ हूँ
समुंदर मिरी पासबानी करे

पढ़ें लोग तहरीर-ए-दीवार ओ दर
ख़ुलासा मिरी बे-ज़बानी करे

अज़ल से मैं उस के तआक़ुब में हूँ
जो लम्हा मुझे ग़ैर-फ़ानी करे

वो बख़्शे उजाले किसी सुब्ह को
कोई शाम रौशन सुहानी करे

मिरे साए में सब हैं मेरे सिवा
कोई तो मिरी साएबानी करे

कोई है जो बढ़ के उठा ले 'अमीर'
वो तेशा जो पत्थर को पानी करे

  - Ameer Qazalbash

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Qazalbash

As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Qazalbash

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari