log bante hain hoshiyaar bahut
warna ham bhi the khaaksaar bahut
ghar se be-tesha kyun nikal aaye
raaste mein hain kohsaar bahut
tujh se bichhde to ai nigaar-e-hayaat
mil gaye ham ko gham-gusaar bahut
haath shal ho gaye shanawar ke
ab ye dariya hai be-kinaar bahut
ham faqeeron ko kam nazar aaye
is nagar mein the shehryaar bahut
us ne majboor kar diya warna
ham ko khud par tha ikhtiyaar bahut
ham hi apna samajh rahe the use
ho gaye ham hi sharmasaar bahut
लोग बनते हैं होशियार बहुत
वर्ना हम भी थे ख़ाकसार बहुत
घर से बे-तेशा क्यूँ निकल आए
रास्ते में हैं कोहसार बहुत
तुझ से बिछड़े तो ऐ निगार-ए-हयात
मिल गए हम को ग़म-गुसार बहुत
हाथ शल हो गए शनावर के
अब ये दरिया है बे-कनार बहुत
हम फ़क़ीरों को कम नज़र आए
इस नगर में थे शहरयार बहुत
उस ने मजबूर कर दिया वर्ना
हम को ख़ुद पर था इख़्तियार बहुत
हम ही अपना समझ रहे थे उसे
हो गए हम ही शर्मसार बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Aankhein Shayari Shayari