pyaar ki har ik rasm ki jo matrook thi main ne jaari ki | प्यार की हर इक रस्म कि जो मतरूक थी मैं ने जारी की - Amir Ameer

pyaar ki har ik rasm ki jo matrook thi main ne jaari ki
ishq-labaada tan par pahna aur mohabbat taari ki

main ab shehr-e-ishq mein kuch qaanoon banaane waala hoon
ab us us ki khair nahin hai jis jis ne gaddaari ki

pehle thodi bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai
par jab asli chehra dekha main ne to phir saari ki

jo bhi mud kar dekhega vo patthar ka ho jaayega
dekho dekho shehar mein aaye sannaata aur taarikee

ek janam mein main us ka tha ek janam mein vo mera
hum ne ki har baar mohabbat lekin baari baari ki

hum sa ho to saamne aaye aadil aur insaaf-pasand
dushman ko bhi khoon rulaaya yaaron se bhi yaari ki

aisa pyaar tha hum dono mein ki barson la-ilm rahe
us ne bhi kirdaar nibhaaya main ne bhi fankaari ki

baat to itni si hai waapas jaane ko main aaya tha
saans uthaai umr sameti chalne ki tayyaari ki

प्यार की हर इक रस्म कि जो मतरूक थी मैं ने जारी की
इश्क़-लबादा तन पर पहना और मोहब्बत तारी की

मैं अब शहर-ए-इश्क़ में कुछ क़ानून बनाने वाला हूँ
अब उस उस की ख़ैर नहीं है जिस जिस ने ग़द्दारी की

पहले थोड़ी बहुत मोहब्बत की कि कैसी होती है
पर जब असली चेहरा देखा मैं ने तो फिर सारी की

जो भी मुड़ कर देखेगा वो पत्थर का हो जाएगा
देखो देखो शहर में आए सन्नाटा और तारीकी

एक जन्म में मैं उस का था एक जन्म में वो मेरा
हम ने की हर बार मोहब्बत लेकिन बारी बारी की

हम सा हो तो सामने आए आदिल और इंसाफ़-पसंद
दुश्मन को भी ख़ून रुलाया यारों से भी यारी की

ऐसा प्यार था हम दोनों में कि बरसों ला-इल्म रहे
उस ने भी किरदार निभाया मैं ने भी फ़नकारी की

बात तो इतनी सी है वापस जाने को मैं आया था
साँस उठाई उम्र समेटी चलने की तय्यारी की

- Amir Ameer
4 Likes

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amir Ameer

As you were reading Shayari by Amir Ameer

Similar Writers

our suggestion based on Amir Ameer

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari