qareeb to hain vo jism se par dil unke kyun door ho gaye hain | क़रीब तो हैं वो जिस्म से पर दिल उनके क्यूँ दूर हो गए हैं - Amit Gautam

qareeb to hain vo jism se par dil unke kyun door ho gaye hain
jinhen seheja kai baras se vo rishte naasoor ho gaye hain

main bolta hoon sada hi sach par ghane andhere mein kho gaya hoon
safed sa jhooth bolkar bhi magar vo mashhoor ho gaye hain

bhale hi cheekha kiye sadak par magar na koii kiwaad khola
ajab hain basti ke haal dekho ajab ye dastoor ho gaye hain

tumhin se barkat tumhin se raunak tumhin se khushiyaan theen ghar mein maa par
tumhaare bin ab har ek din raat mere be-noor ho gaye hain

kahin pe jhoole kahin pe kartab kahin pe mele mein the khilone
ye bas tasavvur mein sochne ko hi ham to majboor ho gaye hain

क़रीब तो हैं वो जिस्म से पर दिल उनके क्यूँ दूर हो गए हैं
जिन्हें सहेजा कई बरस से वो रिश्ते नासूर हो गए हैं

मैं बोलता हूँ सदा ही सच पर घने अंधेरे में खो गया हूँ
सफ़ेद सा झूट बोलकर भी मगर वो मशहूर हो गए हैं

भले ही चीख़ा किए सड़क पर मगर न कोई किवाड़ खोला
अजब हैं बस्ती के हाल देखो अजब ये दस्तूर हो गए हैं

तुम्हीं से बरकत तुम्हीं से रौनक तुम्हीं से ख़ुशियाँ थीं घर में माँ पर
तुम्हारे बिन अब हर एक दिन रात मेरे बे-नूर हो गए हैं

कहीं पे झूले कहीं पे करतब कहीं पे मेले में थे खिलौने
ये बस तसव्वुर में सोचने को ही हम तो मजबूर हो गए हैं

- Amit Gautam
2 Likes

More by Amit Gautam

As you were reading Shayari by Amit Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Amit Gautam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari