kya jabr hai ki ab dua mein kuchh asar nahin | क्या जब्र है कि अब दुआ में कुछ असर नहीं

  - Rehaan

kya jabr hai ki ab dua mein kuchh asar nahin
vo saath jo nahin hai to jaise ki ghar nahin

dilkash koii bhi ab nahin lagta hai uske baad
ulfat nahin kisi se kisi par nazar nahin

mushtaaq main ki aaj hoon phir uske shehar mein
be-rehm vo ki phir use koii khabar nahin

be-bahr ik ghazal main hai paaband nazm vo
manzil ye aisi jiski koii raahguzaar nahin

umeed-e-yaar sun ki dil-e-be-qaraar sun
waapas yahan se laut ja ab aur thehar nahin

kyun ho gaya hai hijr mein paagal tu is tarah
kya marz hai ye jiska koii chaara-gar nahin

likhta hai uski yaad mein tu roz kuchh na kuchh
baaki teri tabaahi mein koii kasar nahin

rehaan ye ghazal jo hain ye sab to uske hain
dekhe agar to tujhmein yun kuchh bhi hunar nahin

क्या जब्र है कि अब दुआ में कुछ असर नहीं
वो साथ जो नहीं है तो जैसे कि घर नहीं

दिलकश कोई भी अब नहीं लगता है उसके बाद
उल्फ़त नहीं किसी से किसी पर नज़र नहीं

मुश्ताक़ मैं कि आज हूँ फिर उसके शहर में
बे-रहम वो कि फिर उसे कोई ख़बर नहीं

बे-बहर इक ग़ज़ल मैं है पाबंद नज़्म वो
मंज़िल ये ऐसी जिसकी कोई रहगुज़र नहीं

उम्मीद-ए-यार सुन कि दिल-ए-बे-क़रार सुन
वापस यहाँ से लौट जा अब और ठहर नहीं

क्यूँ हो गया है हिज्र में पागल तू इस तरह
क्या मर्ज़ है ये जिसका कोई चारा-गर नहीं

लिखता है उसकी याद में तू रोज़ कुछ न कुछ
बाक़ी तेरी तबाही में कोई कसर नहीं

'रेहान' ये ग़ज़ल जो हैं ये सब तो उसके हैं
देखे अगर तो तुझमें यूँ कुछ भी हुनर नहीं

  - Rehaan

More by Rehaan

As you were reading Shayari by Rehaan

Similar Writers

our suggestion based on Rehaan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari