shor hai saare mahjabeenon mein
ik nageena hai sau nageenon mein
vo sharaafat ka ek putla hai
haan magar saath ke kameenon mein
sab ne matlab ki kheench kar sarhad
baant di hai zameen zameenon mein
mod kar munh gaya jo ye dariya
aag de di gai safeenon mein
ab dimaagon mein aise hai nafrat
goliyaan jaise magazineon mein
mujh ko khatra to pairhan se hai
saanp baithe hai aasteenon mein
ham ko bas shaayri se hai matlab
aap raheiga naamcheenon mein
dekhiye dil dimaagh aur ye ishq
jang jaari hai kab se teeno mein
khote sikke hain ham bata saahil
kaun rakkhega ab khazeenon mein
शोर है सारे महजबीनों में
इक नगीना है सौ नगीनों में
वो शराफ़त का एक पुतला है
हाँ मगर साथ के कमीनों में
सब ने मतलब की खींच कर सरहद
बाँट दी है ज़मीं ज़मीनों में
मोड़ कर मुँह गया जो ये दरिया
आग दे दी गई सफ़ीनों में
अब दिमाग़ों में ऐसे है नफ़रत
गोलियाँ जैसे मैगज़ीनों में
मुझ को ख़तरा तो पैरहन से है
साँप बैठे है आस्तीनों में
हम को बस शाइरी से है मतलब
आप रहिएगा नामचीनों में
देखिए दिल दिमाग़ और ये इश्क़
जंग जारी है कब से तीनों में
खोटे सिक्के हैं हम बता साहिल
कौन रक्खेगा अब ख़ज़ीनों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by A R Sahil "Aleeg"
our suggestion based on A R Sahil "Aleeg"
As you were reading Freedom Shayari Shayari