tumhaare hijr ka sadqa utaar fenkta hai
diler shakhs hai khwaahish ko maar fenkta hai
bade badon ko thikaane laga diya us ne
ye ishq laash bhi sehra ke paar fenkta hai
ye kaise shakhs ke haathon mein de diya khud ko
falak ki samt mujhe baar baar fenkta hai
main jaanta hoon mohabbat ki fasl boega
zameen pe ashk jo zaar-o-qataar fenkta hai
samay ki tund-mizaaji na pooch mujh se hasan
ye be-lagaam har ik shehsawaar fenkta hai
तुम्हारे हिज्र का सदक़ा उतार फेंकता है
दिलेर शख़्स है ख़्वाहिश को मार फेंकता है
बड़े बड़ों को ठिकाने लगा दिया उस ने
ये इश्क़ लाश भी सहरा के पार फेंकता है
ये कैसे शख़्स के हाथों में दे दिया ख़ुद को
फ़लक की सम्त मुझे बार बार फेंकता है
मैं जानता हूँ मोहब्बत की फ़स्ल बोएगा
ज़मीं पे अश्क जो ज़ार-ओ-क़तार फेंकता है
समय की तुंद-मिज़ाजी न पूछ मुझ से 'हसन'
ये बे-लगाम हर इक शहसवार फेंकता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ataul Hasan
our suggestion based on Ataul Hasan
As you were reading Ishq Shayari Shayari