chand lamhon ko sahi tha saath mein rahna bahut | चंद लम्हों को सही था साथ में रहना बहुत

  - Ateeq Allahabadi

chand lamhon ko sahi tha saath mein rahna bahut
ek bas tere na hone se hai sannaata bahut

zabt ka suraj bhi aakhir shaam ko dhal hi gaya
gham ka baadal ban ke aansu raat bhar barsa bahut

dushmanon ko koi bhi mauqa na milne paayega
doston ne hi mere baare mein hai likkha bahut

main khara utara nahin tere taqaze par kabhi
zindagi ai zindagi tujh se hoon sharminda bahut

bas ana ke bojh ne nazrein meri uthne na deen
us ki jaanib dekhne ko jee mera chaaha bahut

main ne poocha ye bata mujh se bichhadne ka tujhe
kuchh qalq hota hai kya us ne kaha thoda bahut

ghar hamaara phoonk kar kal ik padosi ai ateeq
do ghadi to hans liya phir baad mein roya bahut

चंद लम्हों को सही था साथ में रहना बहुत
एक बस तेरे न होने से है सन्नाटा बहुत

ज़ब्त का सूरज भी आख़िर शाम को ढल ही गया
ग़म का बादल बन के आँसू रात भर बरसा बहुत

दुश्मनों को कोई भी मौक़ा न मिलने पाएगा
दोस्तों ने ही मिरे बारे में है लिक्खा बहुत

मैं खरा उतरा नहीं तेरे तक़ाज़े पर कभी
ज़िंदगी ऐ ज़िंदगी तुझ से हूँ शर्मिंदा बहुत

बस अना के बोझ ने नज़रें मिरी उठने न दीं
उस की जानिब देखने को जी मिरा चाहा बहुत

मैं ने पूछा ये बता मुझ से बिछड़ने का तुझे
कुछ क़लक़ होता है क्या उस ने कहा थोड़ा बहुत

घर हमारा फूँक कर कल इक पड़ोसी ऐ 'अतीक़'
दो घड़ी तो हँस लिया फिर बाद में रोया बहुत

  - Ateeq Allahabadi

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ateeq Allahabadi

As you were reading Shayari by Ateeq Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Ateeq Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari