ishq ki raah mein phoolon ki kahaani to nahin
gham haqeeqat hai koi khaam-khayaali to nahin
kitna kuchh maine sameta hai abhi misron mein
yaad aaya p ghazal unko sunaani to nahin
jo likhe maine tumhein khat vo tumhein doonga par
pehle tum meri qasam khao padhogi to nahin
mushkilein aur bhi aayegi muhabbat ke siva
zindagi bas teri yaadon mein bitaani to nahin
dekhna hai ki tujhe kaun yahan chahega
bewafaai teri logon se hijaabi to nahin
mujhse haalaat mein jee loge bikhar jaaoge
tohmaten jism ka hissa hai libaasi to nahin
main to main hi tha mera qatl bhi zaaya hi gaya
dekhne waale ki fitrat hi khamoshi to nahin
jo bhi aayega zameen odh ke so jaayega
ye fakeeron ka thikaana hai haveli to nahin
abhi sayyad teri baaton ka sila baaki hai
khoon aankhon mein bhara hai ye udaasi to nahin
इश्क़ की राह में फूलों की कहानी तो नहीं
ग़म हक़ीक़त है कोई ख़ाम-ख़याली तो नहीं
कितना कुछ मैंने समेटा है अभी मिस्रों में
याद आया प' ग़ज़ल उनको सुनानी तो नहीं
जो लिखे मैंने तुम्हें ख़त वो तुम्हें दूँगा पर
पहले तुम मेरी क़सम खाओ पढ़ोगी तो नहीं
मुश्किलें और भी आएगी मुहब्बत के सिवा
ज़िंदगी बस तेरी यादों में बितानी तो नहीं
देखना है कि तुझे कौन यहाँ चाहेगा
बेवफ़ाई तेरी लोगों से हिजाबी तो नहीं
मुझसे हालात में जी लोगे बिखर जाओगे
तोहमतें जिस्म का हिस्सा है लिबासी तो नहीं
मैं तो मैं ही था मेरा क़त्ल भी ज़ाया ही गया
देखने वाले की फ़ितरत ही ख़मोशी तो नहीं
जो भी आएगा ज़मीं ओढ़ के सो जाएगा
ये फ़कीरों का ठिकाना है हवेली तो नहीं
अभी सय्यद तेरी बातों का सिला बाक़ी है
ख़ून आँखों में भरा है ये उदासी तो नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aves Sayyad
our suggestion based on Aves Sayyad
As you were reading Valentine Shayari Shayari