dhank-rang | "धनक-रंग" - Azra Naqvi

dhank-rang

pahaadi ke us paar koi dhanak hai nahin hai
dhanak ke sire par koi jadoo-nagari paristaan khazana mera muntazir hai
nahin hai
mujhe koi dhoka nahin hai
samundar ke us paar se aane waali hawaon mein koi sandesa nahin hai
agar kuch nahin hai to saari tag-o-dau ye imroz-o-farda ke sab silsile kis liye hain
ufuq se pare margh-zaaron ki aakhir hadon tak pahunchne ki khwaahish
saraabo ke dhundle hyoolon ka peecha
ye sab kis liye hai
kisi khwaab ki koi soorat nahin hai
khushi koi tohfa nahin jo christmas ki shab koi chupke se de jaayega
main elis nahin hoon alif-lailvi shaahzaadi nahin hoon
main azraa hoon
aur mere aur zindagi ke ta'alluq se jo bhi hai duniya mein vo asliyat hai
meri shaay'ri geet sangeet
sab dil ke mausam
chaahne chahe jaane ki khwaahish mein rishton ki sangeeniyaan
kuch rifaqat ke anmol moti
mohabbat ki shabnam mein doobi hui adh-khilee zard kaliyaan
buzurgon se paai hui sab muqaddas duaaein
zindagaani ki sab dhoop chaanv
khazana hai mera
dhank-rang mujh mein samaaye hue hain

"धनक-रंग"

पहाड़ी के उस पार कोई धनक है नहीं है
धनक के सिरे पर कोई जादू-नगरी परिस्ताँ ख़ज़ाना मिरा मुंतज़िर है
नहीं है
मुझे कोई धोका नहीं है
समुंदर के उस पार से आने वाली हवाओं में कोई संदेसा नहीं है
अगर कुछ नहीं है तो सारी तग-ओ-दौ ये इमरोज़-ओ-फ़र्दा के सब सिलसिले किस लिए हैं
उफ़ुक़ से परे मर्ग़-ज़ारों की आख़िर हदों तक पहुँचने की ख़्वाहिश
सराबों के धुँदले हयूलों का पीछा
ये सब किस लिए है
किसी ख़्वाब की कोई सूरत नहीं है
ख़ुशी कोई तोहफ़ा नहीं जो क्रिसमस की शब कोई चुपके से दे जाएगा
मैं एलिस नहीं हूँ अलिफ़-लैलवी शाहज़ादी नहीं हूँ
मैं 'अज़रा' हूँ
और मेरे और ज़िंदगी के तअ'ल्लुक़ से जो भी है दुनिया में वो असलियत है
मिरी शाइ'री गीत संगीत
सब दिल के मौसम
चाहने चाहे जाने की ख़्वाहिश में रिश्तों की संगीनियाँ
कुछ रिफ़ाक़त के अनमोल मोती
मोहब्बत की शबनम में डूबी हुई अध-खिली ज़र्द कलियाँ
बुज़ुर्गों से पाई हुई सब मुक़द्दस दुआएँ
ज़िंदगानी की सब धूप छाँव
ख़ज़ाना है मेरा
धनक-रंग मुझ में समाए हुए हैं

- Azra Naqvi
1 Like

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azra Naqvi

As you were reading Shayari by Azra Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Azra Naqvi

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari