aaghaaz se anjaam-e-safar dekh raha hoon
dekha nahin jaata hai magar dekh raha hoon
tairaak lagaataar yahan doob rahe hain
chup-chaap main dariya ka hunar dekh raha hoon
is khwaab ki ta'beer koi mujh ko bata de
manzil se bhi aage ka safar dekh raha hoon
us shakhs ke honton pe mera zikr bahut hai
main apni duaon ka asar dekh raha hoon
jo tujh ko bahut door kabhi le gai mujh se
main kab se wahi raahguzar dekh raha hoon
ik umr se qaaim hai ye raaton ki hukoomat
ik umr se main khwaab-e-seher dekh raha hoon
आग़ाज़ से अंजाम-ए-सफ़र देख रहा हूँ
देखा नहीं जाता है मगर देख रहा हूँ
तैराक लगातार यहाँ डूब रहे हैं
चुप-चाप मैं दरिया का हुनर देख रहा हूँ
इस ख़्वाब की ता'बीर कोई मुझ को बता दे
मंज़िल से भी आगे का सफ़र देख रहा हूँ
उस शख़्स के होंटों पे मिरा ज़िक्र बहुत है
मैं अपनी दुआओं का असर देख रहा हूँ
जो तुझ को बहुत दूर कभी ले गई मुझ से
मैं कब से वही राहगुज़र देख रहा हूँ
इक उम्र से क़ाएम है ये रातों की हुकूमत
इक उम्र से मैं ख़्वाब-ए-सहर देख रहा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Balmohan Pandey
our suggestion based on Balmohan Pandey
As you were reading Manzil Shayari Shayari